My Dad Lyrics- Poet Shaf

My Dad Lyrics. My Dad is the most recent Poet Shaf song and music is composed by Anurag saikia. My Dad Lyrics are penned by Poet Shaf. My Dad features Poet Shaf. This song is published under the label of KaanPhod Music.

My Dad Lyrics

My Dad Song Detail

Song: My Dad
Singer: Poet Shaf
Lyrics: Poet Shaf
Music: Karan Kanchan
TV Show: MTV Hustle 03
Label: KaanPhod Music

My Dad Lyrics

Har Kahaani Ki Shuruwat Hoti Hai
Uss Kahaani Mein Qaid Ek Yaad Hoti Hai
Uss Yaad Ki Jab Baat Hoti
Tabh Ye Aankh Roti

Ye Suno Suno Mann Kya Karta Hai
Kehta Hai Khelun Nahi Tumhe Padhna Hai
Lekin Abhi Sab Khel Rahe Hai Na Papa
Unke Paas Hoga Haraam Ka Tera Baap Mehnat Karta Hai
Mann Kya Hai
Kya Tu Kaafir Hai Nahi
Phir Woh Jo Kar Rahe Woh Kyun Karna Hai
Tujhe Aakhirat Se Darna Hai Par
Par Nahi Zubaan Bannd Bas Suno Ki Meri Zindagi Kaise Tere Liye Ek Tarjuma Hai
Kaise Maine Shunya Se Khud Ko Banaaya
Chappalo Mein Chal Shauq Ko Dafnaaya
Tum Hue Paida Phir Teri Behene Teeno Ki Parwarish Kar
Aakhir Mujhe Bhi Ek Din Sukoon Se Marna Hai
Papa Par Main Kya Karun Ye Samajhne Ki Meri Umar Na Hai

Jab Tha Teri Umar Ka Main Tab Saare Ghar Ka Kaam Tha Karta Main
Na Hoti Sahuliyat Kisi Cheez Ki Phir Bhi Tha Na Akadta Main
Na Eid Mein Hote Paise Thae Naye Kapde Kharidne
Phir Bhi Nahi Tere Dada Se Zikr Karta Main
Aur Aaj Tumhein Har Sawaal Ka Jawaab Chahiye
Zindagi Jeene Ke Liye Tujhe Khwaab Chahiye
Kyun Nahi Tu Aam Insaan Ki Tarah Ussi Raaste Pe Chalo
Zindagi Bas Khuchh Din Ki Manngon Khuda Se
Sawab Chahiye
Par Papa Mujhe Insaaf Chahiye
Agar Aapki Khushi Waqt Ne Chheeni Hai Toh Kyun Zaroori Hai Main
Bhi Khush Na Rahun Halaat Aapke Manna Kar Rahe Thae Apko Sapna Dekhne
Par Main Apke Aankhon Se Sapna Dekhna Chahata Hoon Uska Bhi Hisaab Chahiye
Apki Har Baat Sar Ankho Pe Par Apke Khuda Ko Insaan Nahi Daas Chahiye
Mujhe Meri Zindagi Main Har Lamha Khaas Chahiye
Zinda Hai Agar Insaan Toh Pyaas Chahiye
Main Aur Aap Alag Hai Main Samajhta Darr Aapka
Par Apko Bete Ke Naam Pe Zinda Laash Chahiye
Lash Chahiye Aap Paas Aaiye

Zara Sochiye Main Baap Hoon Main Kyun Hi Bura Sochunga
Dil Ho Tum Dhadkano Ko Kyun Tokunga
Aap Chiraag Ho Apko Jalne Se Kyun Rokunga
Kyunki Aap Chahate Meri Khudki Soch Na Ho
Aap Chahte Aap Ki Aulaad Aap Pe Bojh Na Ho
Khair Maine Aaj Tak Nahi Maanga Kuchh
Aur Apne Bhi Nahi Socha Kya Shayad Main Woh Insaan
Jisse Khud Ko Khud Mein Soch Na Ho

Behas Band Kar
Kitna Samjhaya Par Tujhpe Hai Asar Na
Har Takleef Se Bacha Tujhe Aaj Tak Hai Rakha
Pata Nahi Tujhe Ki Darr Kaise Masalta
Issi Liye Jaisa Kahoon Waisa Padenga Karna

Aap Sahi Hai Jaa Raha Hoon Dur Kahi Main
Kyunki Main Jaanta Ki Ye Mera Safar Na
Ruko Beta Main Galat Hoon Mujhe Chhod Ke Mat Jaao
Tum Meri Aulaad Ho Mujhe Aise Na Satao
Tum Nahi Toh Mera Astitva Kya Hai
Papa Main Dur Rahun Par Mera Dil Yahaan Hai
Meri Maut Bhi Juda Nahi Kar Sakti Mujhe Aapse
Aapke Paiso Ne Kabhi Nahi Bulaya
Kheecha Aapke Paas Aapke Ehsaas Ne
Bas Ab Main Aapse Lad Nahi Sakta
Issi Liye Dooriyan Banna Ke Jaa Rahan Apne Raaste

I Love You Dad

Har Kahani Ki Shuruwat Hoti Hai
Uss Kahani Main Qaid Ek Yaad Hoti Hai
Uss Yaad Ki Jab Baat Hoti Hai
Tabh Ye Aankh Roti Hai

Watch My Dad Poet Shaf Video Song

My Dad Song FAQ

Who wrote the lyrics of “My Dad” song?

Poet Shaf has written the lyrics of “My Dad  “.

Who is the singer of “My Dad” song?

Poet Shaf  has sung the song “My Dad  “.

Who has been featured in the music video?

The music video of  “My Dad” features Poet Shaf.

Who composed the music of “My Dad ” song?

My Dad song composed by Anurag saikia.

You may also like...